Kumkum Bhagya

From Wikiquote
Jump to navigation Jump to search

Kumkum Bhagya (2014-) is an Indian soap opera created by Ekta Kapoor's Balaji Telefilms for the channel Zee TV.

Quotes[edit]

  • Some one line quotes from Kumkum Bhagya
Pragya:Mohabbat Karna Humaare Bus mein Nahi Hai Uss Mohabbat se Door Chale Wo Humaare Bus Mein Hai
"Aapki bahu ab koi aur hai. Jisse woh shaadi kar rahe hain. Aap ko unke saath hona chahiye." *When Daadi says the people that love her won't leave her behind" "Unho ne toh saath chor diya na. Jisse iss duniya mein sab se zyada apna maanti hoon, usne toh chor diya." "When Daadi asks why Pragya's crying without fighting* "Koi ladaayi hai hi nahi. Baat Tanu ki jeetne ki ya mere haarne ki nahi hai. Ladaayi ab koi baaki hai toh woh meri hai, apne dil ke saath, jisko yeh samjhana hai ke woh ab kisi aur ke ho chuke hain." *When Daadi asks why she's still holding onto Abhigya's marriage picture and asks if this is the day she brought Pragya into MM as ghar ki bahu* "Toh phir kis din ke liye le gayee thi? Bataaye na Daadi, aap kis din ke liye mujhe us ghar mein bahu bana ke le gayee thi? Us din ke liye jab mein inke paas thi lekin mujhe inse duur rehna parta tha? Ya phir uss din ke liye jab unpe haq hote hue bhi har rozzz apne haq ki ladaayi karni parti thi? Daadi maine kabhi apne suhagan hone ka afsos nahi kiya hai. Har roz suhagan hone ka imthihaan diya hai maine. Har roz suhag ke liye sangharsh kiya hai. Ek din khushi ka nahi dekha, apne pati ka pyaar nahi dekha. Jis din se gaye hoon, us ghar mein har kisi se larna pada hai. Kabhi Tanu se, kabhi Aaliya se toh kabhi apnii hi kismat se!!" "Isme se kis din ke liye aap mujhe uss ghar mein le gayee thi Daadi? Boliye na! Aur main nahi royoon? Kyun nahi royoon Daadi? Mein apne pyar ko paane ke liye joh bhi kadam uthathi hoon woh sab na-kamiyaab ho jaata hai lekin mein nahi ro sakti. Kyun main toh insaan hi nahi hoon na?? Mujhe toh bura nahi lagta! Unki khushi ke liye, unko paane ke liye kya kuch nahi kiya maine AUR UNHI NE APNI KHUSHI KISI AUR MEIN DHOONDHLI TOH MUJHE AANSOO BAHANE KA BHI HAQ NAHI HAI DAADI??" "Daadi...shaadi maine bhi unse apni khushi se nahi ki thi. Lekin maine apna rishta nibhaya. Aap nahi jaanti, woh har roz Tanu ke saath hote the, lekin phir bhi maine rishta nibhaya. Dosti karne ki khoshish ki unse. Lekin jab unke dil ki sachayi dekhi toh mujhe pyaar hogaya unse. Mein sirf apne pyaar se khush thi Daadi lekin tab mujhe pata chalta hai ke Tanu inke bache ki maa bane wali hai. Mujhe toh naaraaz hona chahiye tha na Daadi lekin nahiii. Aur maine aap ki aankhon mein dekha tha ke aap ko parpota chahiye hai. Aur yeh bhi jaanti thi ke woh mujhse pyaar nahi karte the toh woh parpota main nahi de sakti aap ko. Aur aap ko woh apni jaan se bhi bhar kar pyaar karte hain. Is liye aap ki aur unki khushi ke liye apne pati aur apne pyaar ko bhool gayi aur yahan chali aayi. Ise bada imthihaan koi aur nahi de paayegi. Lekin mera imtihaan toh wahan bhi nahi khatam hua. Baad mein pata chala ke Aaliyah aur Tanu mujhe jhoot bol rahi thi. Phir aap ke kehne par apne pyaar bhool kar unke dushmano ko bachane ke liye unkhi hi dushman ban gayee." "Jin aakhoon mein pyaar dekhna chahti thi, unhi aankhon mein nafrat dekhne lagi. Aur bohat bura lagta tha. Lekin tab bhi mujhe rone ka haq kahan tha? Roti thi lekin inke saamne nahi. Chip chip kar. Isse bara imtihaan toh nahi de sakti na daadi?" "Jab sab kuch theek hone laga tha, Aaliyah aur Tanu ki sachayi inhe bata di. Inko bata diya ke main inse pyaar karti hoon, woh mujhse pyaar karte hain...tab Bhagwan ne unse unki yaadaash cheen layii?? Aur woh kuch nahi bhoole. Sirf mujhe bhool gaye, humara rishta bhool gaye!! Phir unki zindagi behtar ho sake, is liye mujhe unki zindagi se duur jaana para. Aur jab unse duur rehne ki aadat dalne ki khoshish kar rahi thi, unke bina jeena seek rahi thi tab phir qismat unhe mere saamne le aayi. Zindagi ko ek paheli aur mujhe ek ajnabi bana kar. Uss paheli ka jawab nahi tha mere paas Daadi. Inse pyaar kar ke bhi inpe zaahir nahi ki Daadi. Yeh mere saamne hote the, lekin mere feelings ke baare mein, mere pyaar ke baare mein maine kabhi inse kuch nahi kaha. Yehi soch ke ke agar maine inse sach keh diya toh inke dhimaag pe ghalat asr par sakta hai." "Lekin shayad humara pyaar inke dhimaag se chala gaya tha, lekin inke dil se nahi. Mein inse kitna bhi duur rehne ki khoshish karti thi yeh mere kareeb aate the. Mujhe acha lagta tha. Khushi hoti thi is liye main bhi inke kareeb jaane lagi. Mujhe lagta tha jaise sab kuch theek ho jayega. Hum phir se hamesha ke liye ek ho jayenge lekin nahi. Ulta hi ho gaya. Mera Kumkum, MS, sab chin gaya mujhse." "UNHI NE KAHA MUJHSE. MEIN PYAAR KARTA HOON, SHAADI KARNA CHAHTA HOON TUMSE LEKIN KAROONGA NAHI." "Issi liye toh keh rahi hoon Daadi...kisse ladoon? Unho ne toh mujhse keh diya ke humara saath ghalat hai aur woh Tanu...Tanu ka saath sahi hai??" "Mujhe itna ghussa aaya Daadi mere mann kar raha tah waheen sab sach unhe bata doon Daadi. Apne rishte ke baare mein, apni sachaayi ke baare mein. Lekin mujhe laga inka saach toh sirf inko mujhse duur le jaa raha hai. Lekin mera sach kahin inko inki zindagi se hi duur na le jaaye. Is liye mein phir chup ho gayii. Inke faisle ko hi inka sach maan liya. Aur waapis is ghar mein chali aayi. Apne sapne...apna dard...sab torr ke." "Aur shayad yehi sahi hai Daadi. Pata nahi kismat kya chahti hai? Aur phir aap hi ne kaha tha ke kabhi apno se duur jaana pardta hai?" *Daadi says Lekin* "Lekin kyaa Daadi??? KYAAA??? Kya kasar choot gayii hai mere sangarsh mein? Kaunsi ladaayi nahi ladi hai maine? Har kisi se toh lar chukki hoon na Daadi?? Aur kya bach gaya hai mere liye karne ke liye?? Mein jaan par khel gayii hoon. Apni maa ki jaan khatre mein daal di maine. Apni behen ko kho diya. Do din pehle toh Purab Coma mein tha Daadi!! Isse zyaada kyaa imtihaan doongi mein??" "Is liye keh rahi hoon bas bohat ho gaya hai Daadi. Ab mujhe nahi larna hai kisi se. Na Tanu se, na Aaliyah se, na apni kismat se. BAS. Mujhme himmat nahi hai mein takh gayee hoon. Ab nahi hoga mujhse. Please..."

Cast[edit]

External links[edit]

Wikipedia
Wikipedia
Wikipedia has an article about: